aab-e-dariya hun pyas bhi hun main
āb-e-dariyā huuñ pyaas bhī huuñ maiñ
sab masā.ib se ab barī huuñ maiñ
shab-nigahbān ab tirī huuñ maiñ
surḳh-rū rah ki jāgtī huuñ maiñ
har varaq par milegī pyaas tumheñ
ek rūdād-e-tishnagī huuñ maiñ
vasl kuchh yuuñ bhī hai taḳhayyul meñ
hijr ke giit gā rahī huuñ maiñ
kal amīrī thī maiñ masarrat kī
aaj daulat kī muflisī huuñ maiñ
maiñ huuñ ik munhadim sā darvāza
dāstāñ intizār kī huuñ maiñ
vo sitārā hai shaam kā avval
raat kī āḳhirī ghaḌī huuñ maiñ
jo sadā kū-e-jāñ se aatī hai
us ko duniyā meñ DhūñDhtī huuñ maiñ
sāhib-e-raushnī hai vo 'mīrā'
dam-ba-dam ek tīrgī huuñ maiñ
aab-e-dariya hun pyas bhi hun main
sab masaib se ab bari hun main
shab-nigahban ab teri hun main
surKH-ru rah ki jagti hun main
har waraq par milegi pyas tumhein
ek rudad-e-tishnagi hun main
wasl kuchh yun bhi hai taKHayyul mein
hijr ke git ga rahi hun main
kal amiri thi main masarrat ki
aaj daulat ki muflisi hun main
main hun ek munhadim sa darwaza
dastan intizar ki hun main
wo sitara hai sham ka awwal
raat ki aaKHiri ghaDi hun main
jo sada ku-e-jaan se aati hai
us ko duniya mein DhunDhti hun main
sahib-e-raushni hai wo 'mira'
dam-ba-dam ek tirgi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.