aab-o-gil aur kuchh hawa duniya
āb-o-gil aur kuchh havā duniyā
bas yahī hai tire sivā duniyā
thoḌī ḳhushiyāñ haiñ thoḌī taklīfeñ
aur thoḌī sī hai duā duniyā
ab maiñ us ko kahāñ-kahāñ DhūñDūñ
jis ke baa.is huī ravā duniyā
aisā shāyad kabhī huā hogā
jab huī merī ham-navā duniyā
pahle dhuñdlā sā ik tasavvur thī
tujh se mil kar huī hai vā duniyā
aab-o-gil aur kuchh hawa duniya
bas yahi hai tere siwa duniya
thoDi KHushiyan hain thoDi taklifen
aur thoDi si hai dua duniya
ab main us ko kahan-kahan DhunDun
jis ke bais hui rawa duniya
aisa shayad kabhi hua hoga
jab hui meri ham-nawa duniya
pahle dhundla sa ek tasawwur thi
tujh se mil kar hui hai wa duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.