aabaad gham-o-dard se virana hai us ka
ābād ġham-o-dard se vīrāna hai us kā
TuuTā huā jo dil hai vo kāshāna hai us kā
jis dil meñ ki hai shauq vo paimāna hai us kā
jis aañkh meñ hai kaif vo mai-ḳhāna hai us kā
jab dekhiye kahtā hai vahī zikr sunāo
ma.alūm huā shauq bhī dīvāna hai us kā
behosh agar maiñ huuñ to bā-hosh kahāñ hai
jo ḳhalq hai is dahr meñ dīvāna hai us kā
din-rāt hai ye maskan-e-anvār-e-tasavvur
siina jise kahte haiñ parī-ḳhāna hai us kā
joban kī safā.ī se phisaltī haiñ nigāheñ
paḌtī hai jidhar aañkh parī-ḳhāna hai us kā
ai dil havas-e-vasl se mushtāq haiñ mahrūm
jaañ avval-e-dīdār meñ begāna hai us kā
jo sīna-e-raushan hai vo hai manzil-e-ulfat
jo dil sifat-e-sham.a hai parvāna hai us kā
kahte haiñ jise husn vo hai shama-e-jahāñ-tāb
kahte haiñ jise ishq vo parvāna hai us kā
jab fasl-e-gul aatī hai sadā detī hai vahshat
zanjīr kā gul nāla-e-mastāna hai us kā
dekhā to safar ruuh ko hotā hai usī se
kahte haiñ jise maut vo parvāna hai us kā
gauhar se fuzūñ dīda-e-āshiq ke haiñ aañsū
dāman meñ hai ma.ashūq ke jo daana hai us kā
kuchh rutba-e-āshiq se bhī ai jaañ ho ḳhabar-dār
sāmān ka.ī roz se shāhāna hai us kā
muñh āshiq-e-sādiq ke na chaḌh vā.iz-e-makkār
har haal meñ jo haal hai rindāna hai us kā
āgāh nahīñ qissa-e-mansūr se ai dil
dushman hoñ zan-o-mard vo yārāna hai us kā
kyā pūchhte ho hāl-e-'nasīm'-e-jigar-afgār
dekhā jise ḳhush-vaz.a vo dīvāna hai us kā
aabaad gham-o-dard se virana hai us ka
TuTa hua jo dil hai wo kashana hai us ka
jis dil mein ki hai shauq wo paimana hai us ka
jis aankh mein hai kaif wo mai-KHana hai us ka
jab dekhiye kahta hai wahi zikr sunao
malum hua shauq bhi diwana hai us ka
behosh agar main hun to ba-hosh kahan hai
jo KHalq hai is dahr mein diwana hai us ka
din-raat hai ye maskan-e-anwar-e-tasawwur
sina jise kahte hain pari-KHana hai us ka
joban ki safai se phisalti hain nigahen
paDti hai jidhar aankh pari-KHana hai us ka
ai dil hawas-e-wasl se mushtaq hain mahrum
jaan awwal-e-didar mein begana hai us ka
jo sina-e-raushan hai wo hai manzil-e-ulfat
jo dil sifat-e-shama hai parwana hai us ka
kahte hain jise husn wo hai shama-e-jahan-tab
kahte hain jise ishq wo parwana hai us ka
jab fasl-e-gul aati hai sada deti hai wahshat
zanjir ka gul nala-e-mastana hai us ka
dekha to safar ruh ko hota hai usi se
kahte hain jise maut wo parwana hai us ka
gauhar se fuzun dida-e-ashiq ke hain aansu
daman mein hai mashuq ke jo dana hai us ka
kuchh rutba-e-ashiq se bhi ai jaan ho KHabar-dar
saman kai roz se shahana hai us ka
munh aashiq-e-sadiq ke na chaDh waiz-e-makkar
har haal mein jo haal hai rindana hai us ka
aagah nahin qissa-e-mansur se ai dil
dushman hon zan-o-mard wo yarana hai us ka
kya puchhte ho haal-e-'nasim'-e-jigar-afgar
dekha jise KHush-waza wo diwana hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.