aabla hai ki ghaw jo bhi hai
aabla hai ki ghaav jo bhī hai
sāmne mere laao jo bhī hai
chaak se ab mujhe utāro bhī
merī sūrat dikhāo jo bhī hai
jo nahīñ us kī kyā pareshānī
ḳhair us kī manāo jo bhī hai
rakh diyā hai tumhāre chugne ko
dard kī fāḳhtāo jo bhī hai
ham tire dar se ab na uTTheñge
terā ham se subhāv jo bhī hai
dost to apne aap bante haiñ
koī dushman banāo jo bhī hai
pā ga.e haiñ tumhārā bhed sabhī
apnā bhaav girāo jo bhī hai
ishq kī bad-duā lagī hai tumheñ
baiThe duniyā kamāo jo bhī hai
muntazir haiñ samā.ateñ sab kī
apnī apnī sunāo jo bhī hai
ye nishānī hai ik payambar kī
ye shikasta sī naav jo bhī hai
jur.a jur.a maiñ pī rahā huuñ 'munīr'
mere dil meñ alaav jo bhī hai
aabla hai ki ghaw jo bhi hai
samne mere lao jo bhi hai
chaak se ab mujhe utaro bhi
meri surat dikhao jo bhi hai
jo nahin us ki kya pareshani
KHair us ki manao jo bhi hai
rakh diya hai tumhaare chugne ko
dard ki faKHtao jo bhi hai
hum tere dar se ab na uTThenge
tera hum se subhaw jo bhi hai
dost to apne aap bante hain
koi dushman banao jo bhi hai
pa gae hain tumhaara bhed sabhi
apna bhaw girao jo bhi hai
ishq ki bad-dua lagi hai tumhein
baiThe duniya kamao jo bhi hai
muntazir hain samaaten sab ki
apni apni sunao jo bhi hai
ye nishani hai ek payambar ki
ye shikasta si naw jo bhi hai
jura jura main pi raha hun 'munir'
mere dil mein alaw jo bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.