aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka
aabla ḳhār-e-sar-e-mizhgāñ ne phoḌā saañp kā
selī-e-zulf-e-rasā ne kallā toḌā saañp kā
panja-e-dandāñ tirī kañghī ne moḌā saañp kā
kar ke gesū-e-kalā.ī haath toḌā saañp kā
kūdkī sī mere sar par ishq-e-gesū hai savār
chob kī badlī banātā thā maiñ ghoḌā saañp kā
bār-e-firaunī pe terī zulf agar bāñdhe kamar
azhdar-e-mūsā ke tausan par ho kuuḌā saañp kā
maiñ huuñ vo ranjūr-e-gesū 'aks agar merā paḌe
mohra-e-har-e-ustuḳhvāñ ban jaa.e phoḌā saañp kā
jab siyah botal se mai-rezī huī daur-e-firāq
maiñ ye samjhā zahr saaqī ne nichoḌā saañp kā
hai qadam us kā havā par paañv us kā ḳhaak par
zulf ke mushkī ko kab paatā hai ghoḌā saañp kā
āshiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah ta.azīr do
saañp kī rassī banāo aur koḌā saañp kā
zulf-e-kaj-raftār kī kab chaal chal saktā hai vo
aisī Thokar khaa.e sar ban jaa.e roḌā saañp kā
ek din ho jā.egā raushan siyah-kārī kā haal
donoñ baġhloñ meñ jarīde haiñ ki joḌā saañp kā
jāntā huuñ maiñ tire rās-o-zanab ko ai falak
mere Dasne ke liye paalā hai joḌā saañp kā
kyā ta'ajjub husn-e-jānāñ se agar pūchhe gazand
ḳhaal meñ bichchhū kā joḌā zulfeñ joḌā saañp kā
saañp ke kaaTe kī lahr aa.e jo vasf-e-zulf meñ
'bahr' ne phir to koī mazmūñ na chhoḌā saañp kā
aabla KHar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka
seli-e-zulf-e-rasa ne kalla toDa sanp ka
panja-e-dandan teri kanghi ne moDa sanp ka
kar ke gesu-e-kalai hath toDa sanp ka
kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai sawar
chob ki badli banata tha main ghoDa sanp ka
bar-e-firauni pe teri zulf agar bandhe kamar
azhdar-e-musa ke tausan par ho kuDa sanp ka
main hun wo ranjur-e-gesu 'aks agar mera paDe
mohra-e-har-e-ustuKHwan ban jae phoDa sanp ka
jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaq
main ye samjha zahr saqi ne nichoDa sanp ka
hai qadam us ka hawa par panw us ka KHak par
zulf ke mushki ko kab pata hai ghoDa sanp ka
aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah tazir do
sanp ki rassi banao aur koDa sanp ka
zulf-e-kaj-raftar ki kab chaal chal sakta hai wo
aisi Thokar khae sar ban jae roDa sanp ka
ek din ho jaega raushan siyah-kari ka haal
donon baghlon mein jaride hain ki joDa sanp ka
jaanta hun main tere ras-o-zanab ko ai falak
mere Dasne ke liye pala hai joDa sanp ka
kya ta'ajjub husn-e-jaanan se agar puchhe gazand
KHal mein bichchhu ka joDa zulfen joDa sanp ka
sanp ke kaTe ki lahr aae jo wasf-e-zulf mein
'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoDa sanp ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.