aabla-pai hai mahrumi hai ruswai hai
ābla-pā.ī hai mahrūmī hai rusvā.ī hai
us but-e-nāz kā dil phir bhī tamannā.ī hai
merī āñkhoñ se Tapakte haiñ lahū ke aañsū
aaj be-laus mohabbat kī bhī rusvā.ī hai
lab pe phir naam vahī husn vahī āñkhoñ meñ
ai dil-e-zār yahī terī shakebā.ī hai
maz.haka-ḳhez hai andāz-e-takallum un kā
mai-e-ulfat magar āñkhoñ meñ utar aa.ī hai
'sānī'-e-zār tū ab aur karegī kyā kyā
āstāne pe musalsal to jabīñ-sā.ī hai
aabla-pai hai mahrumi hai ruswai hai
us but-e-naz ka dil phir bhi tamannai hai
meri aankhon se Tapakte hain lahu ke aansu
aaj be-laus mohabbat ki bhi ruswai hai
lab pe phir nam wahi husn wahi aankhon mein
ai dil-e-zar yahi teri shakebai hai
mazhaka-KHez hai andaz-e-takallum un ka
mai-e-ulfat magar aankhon mein utar aai hai
'sani'-e-zar tu ab aur karegi kya kya
aastane pe musalsal to jabin-sai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.