aable honge wo jhaT phuT ke bahne wale
aable hoñge vo jhaT phuuT ke bahne vaale
ham shajar jaise haiñ har choT ko sahne vaale
kuuk koyal kī na chiḌiyoñ kī chahak sunte haiñ
kitne bad-baḳht haiñ ye shahr meñ rahne vaale
soch kar pheñknā ik duuje pe patthar yaaro
ham sabhī kāñch ke mahloñ meñ haiñ rahne vaale
sun ke is kaan se us kaan ke bāhar kar do
kuchh burī baat agar kahte haiñ kahne vaale
arsh par kab tak uḌeñge ye zamīñ ke panchhī
ik na ik roz to haiñ farsh pe Dhahne vaale
duur se aa ke to sab dost haiñ aksar milte
muddatoñ dikhte nahīñ paas meñ rahne vaale
she'r kahne kā tirā Dhang nirālā hai 'sadā'
varna shā'ir haiñ bahut bahr meñ kahne vaale
aable honge wo jhaT phuT ke bahne wale
hum shajar jaise hain har choT ko sahne wale
kuk koyal ki na chiDiyon ki chahak sunte hain
kitne bad-baKHt hain ye shahr mein rahne wale
soch kar phenkna ek duje pe patthar yaro
hum sabhi kanch ke mahlon mein hain rahne wale
sun ke is kan se us kan ke bahar kar do
kuchh buri baat agar kahte hain kahne wale
arsh par kab tak uDenge ye zamin ke panchhi
ek na ek roz to hain farsh pe Dhahne wale
dur se aa ke to sab dost hain aksar milte
muddaton dikhte nahin pas mein rahne wale
she'r kahne ka tera Dhang nirala hai 'sada'
warna sha'ir hain bahut bahr mein kahne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.