aable sukh chuke phir bhi kasak baqi hai
aable suukh chuke phir bhī kasak baaqī hai
dil ke har zaḳhm meñ yādoñ kī mahak baaqī hai
chhoḌ duuñ kaise bhalā apne buzurgoñ kā chalan
merī rag rag meñ abhī un kā namak baaqī hai
jin ke saa.e meñ bahal jaatā thā bachpan aksar
mere ehsās meñ ab tak vo dhanak baaqī hai
tum ko aanā hai to aa jaao ba-sad-shauq yahāñ
ab bhī hālāt meñ halkī sī lachak baaqī hai
band hotī nahīñ palkeñ mirī sadiyāñ guzrīñ
ḳhvāb to TuuT chuke sirf chamak baaqī hai
dil kī dhaḌkan mirī āvāz-e-anā hai 'zarrīñ'
mere har lafz meñ lahje kī khanak baaqī hai
aable sukh chuke phir bhi kasak baqi hai
dil ke har zaKHm mein yaadon ki mahak baqi hai
chhoD dun kaise bhala apne buzurgon ka chalan
meri rag rag mein abhi un ka namak baqi hai
jin ke sae mein bahal jata tha bachpan aksar
mere ehsas mein ab tak wo dhanak baqi hai
tum ko aana hai to aa jao ba-sad-shauq yahan
ab bhi haalat mein halki si lachak baqi hai
band hoti nahin palken meri sadiyan guzrin
KHwab to TuT chuke sirf chamak baqi hai
dil ki dhaDkan meri aawaz-e-ana hai 'zarrin'
mere har lafz mein lahje ki khanak baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.