aadab zindagi se bahut dur ho gaya
ādāb zindagī se bahut duur ho gayā
shohrat zarā milī to vo maġhrūr ho gayā
ab raqs-e-ḳhāk-o-ḳhūñ pe koī boltā nahīñ
jaise ye mere mulk kā dastūr ho gayā
dushman se sarhadoñ ko bachānā thā jis kā kaam
apnoñ ko qatl karne pe māmūr ho gayā
gumnām thā libās-e-sharāfat kī vaj.h se
dastār-e-makr bāñdhī to mash.hūr ho gayā
sūraj bhī e'timād ke qābil nahīñ rahā
aayā jo vaqt-e-shām to be-nūr ho gayā
naala jo bah rahā thā mire gaañv meñ 'shahūd'
dariyā se mil gayā hai to maġhrūr ho gayā
aadab zindagi se bahut dur ho gaya
shohrat zara mili to wo maghrur ho gaya
ab raqs-e-KHak-o-KHun pe koi bolta nahin
jaise ye mere mulk ka dastur ho gaya
dushman se sarhadon ko bachana tha jis ka kaam
apnon ko qatl karne pe mamur ho gaya
gumnam tha libas-e-sharafat ki wajh se
dastar-e-makr bandhi to mashhur ho gaya
suraj bhi e'timad ke qabil nahin raha
aaya jo waqt-e-sham to be-nur ho gaya
nala jo bah raha tha mere ganw mein 'shahud'
dariya se mil gaya hai to maghrur ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.