aadam hai na hawwa hai zaman hai na zamin hai
aadam hai na havvā hai zamāñ hai na zamīñ hai
vo kaun hai jo kun meñ magar parda-nashīñ hai
maanā ki nahīñ huuñ tire altāf ke qābil
tū phir bhī mire haal se ġhāfil to nahīñ hai
banda huuñ tirā ġhaib pe īmān hai merā
auroñ ko na ho mujh ko magar terā yaqīñ hai
shāhoñ ke bhī tājoñ ko lagā detā hai Thokar
ye banda-e-nā-chīz jo ik ḳhāk-nashīñ hai
thā hind kī jānib mire aaqā kā ishāra
ḳhushbu-e-mohabbat to hamesha se yahīñ hai
maanā ki mirā luT gayā sarmāya ḳhushī kā
ik dard kī daulat to abhī mere qarīñ hai
ahbāb ke bartāv ko meñ kaise bhulā.ūñ
be-kār tasallī ga.ī dil phir bhī hazīñ hai
āsān nahīñ rāh-e-vafā dekh ke 'jāmī'
taklīf kahīñ bhuuk kahīñ pyaas kahīñ hai
aadam hai na hawwa hai zaman hai na zamin hai
wo kaun hai jo kun mein magar parda-nashin hai
mana ki nahin hun tere altaf ke qabil
tu phir bhi mere haal se ghafil to nahin hai
banda hun tera ghaib pe iman hai mera
auron ko na ho mujh ko magar tera yaqin hai
shahon ke bhi tajon ko laga deta hai Thokar
ye banda-e-na-chiz jo ek KHak-nashin hai
tha hind ki jaanib mere aaqa ka ishaara
KHushbu-e-mohabbat to hamesha se yahin hai
mana ki mera luT gaya sarmaya KHushi ka
ek dard ki daulat to abhi mere qarin hai
ahbab ke bartaw ko mein kaise bhulaun
be-kar tasalli gai dil phir bhi hazin hai
aasan nahin rah-e-wafa dekh ke 'jami'
taklif kahin bhuk kahin pyas kahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.