Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadam mein shaitani fitrat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Sayeed Ahsan

aadam mein shaitani fitrat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Sayeed Ahsan

MORE BYSayeed Ahsan

    aadam meñ shaitānī fitrat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    insāñ ko insāñ se nafrat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    muddat is kitnī muddat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    aisā jiinā aisī sūrat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    ret dīvāroñ ke saa.e meñ bhī aa kar ham kyā karte

    aisā naam aur aisī shohrat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    is duniyā rangīnī meñ aane maqsad kho baiThe

    insāñ ko jiine mohlat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    ham nā-samjhoñ ko samjhāo kyā kahte ho kyā likhte ho

    jitnā mub.ham utnī jiddat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    jitnī tāqat is meñ hai vo tūfānoñ se kyā kam hogī

    'ahsan' ye jazbāt shiddat kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    aadam mein shaitani fitrat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    insan ko insan se nafrat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    muddat is ki kitni muddat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    aisa jina aisi surat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    ret ki diwaron ke sae mein bhi aa kar hum kya karte

    aisa nam aur aisi shohrat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    is duniya ki rangini mein aane ka maqsad kho baiThe

    insan ko jine ki mohlat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    hum na-samjhon ko samjhao kya kahte ho kya likhte ho

    jitna mubham utni jiddat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    jitni taqat is mein hai wo tufanon se kya kam hogi

    'ahsan' ye jazbaat ki shiddat kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now