aadha jiwan bita aahen bharne mein
aadhā jīvan biitā aa.heñ bharne meñ
aadhī umr tavāzun qaa.em karne meñ
duniyā to patthar hai patthar kyā jaane
kitne aañsū chīḳh rahe haiñ jharne meñ
ik tūfān aur ek jazīra haa.il hai
Dūbne aur samundar paar utarne meñ
ik pal joḌ rahā hai do duniyāoñ ko
ik pal haa.il hai jiine aur marne meñ
marne vaalā dekh rahā thā sab nāTak
sab masrūf the apnī jebeñ bharne meñ
aadha jiwan bita aahen bharne mein
aadhi umr tawazun qaem karne mein
duniya to patthar hai patthar kya jaane
kitne aansu chiKH rahe hain jharne mein
ek tufan aur ek jazira hail hai
Dubne aur samundar par utarne mein
ek pal joD raha hai do duniyaon ko
ek pal hail hai jine aur marne mein
marne wala dekh raha tha sab naTak
sab masruf the apni jeben bharne mein
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 426)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.