Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadhe mein rudad paDi thi

Rauf Sahir

aadhe mein rudad paDi thi

Rauf Sahir

MORE BYRauf Sahir

    aadhe meñ rūdād paḌī thī

    aur na.ī uftād paḌī thī

    kaise dard ke paar utartā

    raste meñ ik yaad paḌī thī

    lāzim thā aape se nikalnā

    aisī us par daad paḌī thī

    jabr ke ham ḳhūgar haiñ sāhir

    purkhoñ se buniyād paḌī thī

    aadhe mein rudad paDi thi

    aur nai uftad paDi thi

    kaise dard ke par utarta

    raste mein ek yaad paDi thi

    lazim tha aape se nikalna

    aisi us par dad paDi thi

    jabr ke hum KHugar hain sahir

    purkhon se buniyaad paDi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now