aadhi raat ke sapne shayad jhuTe the
aadhī raat ke sapne shāyad jhūTe the
yā phir pahlī baar sitāre TuuTe the
jis din ghar se bhaag ke shahr meñ pahuñchī thī
bhaag bharī ke bhaag usī din phūTe the
maz.hab kī buniyād pe kyā taqsīm huī
ham-sāyoñ ne ham-sā.e hī lauTe the
shoḳh-nazar kī chuTkī ne nuqsān kiyā
hāthoñ se chaa.e ke bartan chhūTe the
oḌh ke phirtī thī jo 'naināñ' saarī raat
is resham kī shaal pe yaad ke buuTe the
aadhi raat ke sapne shayad jhuTe the
ya phir pahli bar sitare TuTe the
jis din ghar se bhag ke shahr mein pahunchi thi
bhag bhari ke bhag usi din phuTe the
mazhab ki buniyaad pe kya taqsim hui
ham-sayon ne ham-sae hi lauTe the
shoKH-nazar ki chuTki ne nuqsan kiya
hathon se chae ke bartan chhuTe the
oDh ke phirti thi jo 'nainan' sari raat
is resham ki shaal pe yaad ke buTe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.