aadhi raat mein tanha chand
aadhī raat meñ tanhā chāñd
tū bhī mere jaisā chāñd
qurbat chāhī sūraj kī
aur gahan meñ aaya chāñd
phir āñkhoñ meñ ḳhvāb utre
phir bādal se jhāñkā chāñd
us kī hijrat yaad aa.ī
jab āñgan se guzrā chāñd
raushan muskāneñ bāñTe
āñsūoñ meñ bhīgā chāñd
hijr kī bhīgī rātoñ meñ
jaise us kā chehra chāñd
duur se mujh ko lalchā.e
jaise merā munnā chāñd
jaane kise DhūñDe hai
apnī dhun kā pakkā chāñd
aa jā dil meñ qaid karūñ
aa jā aa jā aa jā chāñd
aadhi raat mein tanha chand
tu bhi mere jaisa chand
qurbat chahi suraj ki
aur gahan mein aaya chand
phir aankhon mein KHwab utre
phir baadal se jhanka chand
us ki hijrat yaad aai
jab aangan se guzra chand
raushan muskanen banTe
aansuon mein bhiga chand
hijr ki bhigi raaton mein
jaise us ka chehra chand
dur se mujh ko lalchae
jaise mera munna chand
jaane kise DhunDe hai
apni dhun ka pakka chand
aa ja dil mein qaid karun
aa ja aa ja aa ja chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.