aadmi aur aabru ke baghair
aadmī aur aabrū ke baġhair
phuul ho jaise rañg-o-bū ke baġhair
maiñ fidā tujh pe ai nigāh-e-karam
chal gayā kaam guftugū ke baġhair
kyā isī kā hai naam mai-ḳhāna
log baiThe haiñ hā-o-hū ke baġhair
thā rag-e-jāñ se tū qarīb magar
pā sake ham na justujū ke baġhair
kyā mujhe tum ḳhudā samajhte ho
baat karte nahīñ jo tū ke baġhair
farz kar lo ki mil ga.ī jannat
kaise guzregī us ke kū ke baġhair
tum se 'arshī' na ho sakegī kabhī
ziist us shoḳh-e-tund-ḳhū ke baġhair
aadmi aur aabru ke baghair
phul ho jaise rang-o-bu ke baghair
main fida tujh pe ai nigah-e-karam
chal gaya kaam guftugu ke baghair
kya isi ka hai nam mai-KHana
log baiThe hain ha-o-hu ke baghair
tha rag-e-jaan se tu qarib magar
pa sake hum na justuju ke baghair
kya mujhe tum KHuda samajhte ho
baat karte nahin jo tu ke baghair
farz kar lo ki mil gai jannat
kaise guzregi us ke ku ke baghair
tum se 'arshi' na ho sakegi kabhi
zist us shoKH-e-tund-KHu ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.