aadmi hain sab koi insan hai
aadmī haiñ sab koī insān hai
kyā badal pā.eñge ham imkān hai
lāzmī hai jānñā jis baat ko
har koī us baat se anjān hai
sach rahe zinda zamīñ par kuchh kareñ
sach abhī zinda hai thoḌī jaan hai
haañ bure kuchh log haiñ is mulk meñ
sab se achchhā phir bhī hindustān hai
'ishq se baḌh kar koī maz.hab nahīñ
aap kā is baat par īmān hai
sar haiñ jin ke paas vo ḳhāmosh haiñ
be-suroñ kī kitnī lambī taan hai
aap ne sochā kabhī is baat par
āgahī kī rahguzar sunsān hai
faḳhr hai is baat par mujh ko 'riyāz'
zindagī kā mujh ko thoḌā gyaan hai
aadmi hain sab koi insan hai
kya badal paenge hum imkan hai
lazmi hai jaanna jis baat ko
har koi us baat se anjaan hai
sach rahe zinda zamin par kuchh karen
sach abhi zinda hai thoDi jaan hai
han bure kuchh log hain is mulk mein
sab se achchha phir bhi hindustan hai
'ishq se baDh kar koi mazhab nahin
aap ka is baat par iman hai
sar hain jin ke pas wo KHamosh hain
be-suron ki kitni lambi tan hai
aap ne socha kabhi is baat par
aagahi ki rahguzar sunsan hai
faKHr hai is baat par mujh ko 'riyaz'
zindagi ka mujh ko thoDa gyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.