aadmi jab KHun ka pyasa hua
aadmī jab ḳhuun kā pyāsā huā
azmat-e-insān bhī dhokā huā
aap ko shohrat milī achchhā huā
merā kyā hai maiñ agar rusvā huā
qabr par aaoge rone ke liye
merī jaañ ye bhī koī va.ada huā
vāda-e-fardā pe jo Taltā rahe
vo marīz-e-hijr kab achchhā huā
jab mirī āvārgī had se baḌhī
ābla-pā lāla-e-sahrā huā
ab chaman meñ vo sakūñ 'ahsan' kahāñ
ik nasheman thā milā jaltā huā
aadmi jab KHun ka pyasa hua
azmat-e-insan bhi dhoka hua
aap ko shohrat mili achchha hua
mera kya hai main agar ruswa hua
qabr par aaoge rone ke liye
meri jaan ye bhi koi wada hua
wada-e-farda pe jo Talta rahe
wo mariz-e-hijr kab achchha hua
jab meri aawargi had se baDhi
aabla-pa lala-e-sahra hua
ab chaman mein wo sakun 'ahsan' kahan
ek nasheman tha mila jalta hua
- Book : Shora-e-London (Pg. 19)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.