aadmi ka hai fasana KHak se
aadmī kā hai fasāna ḳhaak se
hai azal se dostāna ḳhaak se
aap ke chehre pe raunaq hai bahut
kyā koī niklā ḳhazāna ḳhaak se
maiñ kisī kā bhī rahūñ muhtāj kyoñ
pā rahā huuñ āb-o-dāna ḳhaak se
ik qadam bhī kyā uThe us ke baġhair
chal rahā hai ye zamāna ḳhaak se
zahr bhar de jo tumhāre ḳhuun meñ
mat ugaao aisā daana ḳhaak se
jiinā marnā hai lahad kī ḳhaak meñ
merā raushan āstāna ḳhaak se
'sāhir' aalam āshkārā ho gayā
pyaar terā vālihāna ḳhaak se
aadmi ka hai fasana KHak se
hai azal se dostana KHak se
aap ke chehre pe raunaq hai bahut
kya koi nikla KHazana KHak se
main kisi ka bhi rahun muhtaj kyon
pa raha hun aab-o-dana KHak se
ek qadam bhi kya uThe us ke baghair
chal raha hai ye zamana KHak se
zahr bhar de jo tumhaare KHun mein
mat ugao aisa dana KHak se
jina marna hai lahad ki KHak mein
mera raushan aastana KHak se
'sahir' aalam aashkara ho gaya
pyar tera walihana KHak se
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 323)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.