aadmi KHud ko ajab rang mein Duba dekhe
aadmī ḳhud ko ajab rañg meñ Duubā dekhe
hoñT tishna hoñ magar aañkh meñ dariyā dekhe
ziist karne ke liye umr bahut thoḌī hai
apnī duniyā se alag kyā koī duniyā dekhe
dasht-e-tanhā.ī meñ ab lams-e-judā.ī bhī nahīñ
ā.ina-gar se kaho apnā tamāshā dekhe
shahr-āshob meñ mahtāb-sifat koī to ho
zindagī biit rahī hai koī chehra dekhe
āḳhirī ma.arka-e-shab meñ jo bach jaa.e use
ye zarūrī to nahīñ sub.h kā taarā dekhe
mustaqil hijr ne āñkhoñ kā hunar chhīn liyā
kaun ab taaq meñ ḳhurshed ko jaltā dekhe
aisā mumkin to nahīñ phir bhī ye jī chāhtā hai
maiñ na ghar lauTūñ to shab bhar koī rasta dekhe
aadmi KHud ko ajab rang mein Duba dekhe
honT tishna hon magar aankh mein dariya dekhe
zist karne ke liye umr bahut thoDi hai
apni duniya se alag kya koi duniya dekhe
dasht-e-tanhai mein ab lams-e-judai bhi nahin
aaina-gar se kaho apna tamasha dekhe
shahr-ashob mein mahtab-sifat koi to ho
zindagi bit rahi hai koi chehra dekhe
aaKHiri marka-e-shab mein jo bach jae use
ye zaruri to nahin subh ka tara dekhe
mustaqil hijr ne aankhon ka hunar chhin liya
kaun ab taq mein KHurshed ko jalta dekhe
aisa mumkin to nahin phir bhi ye ji chahta hai
main na ghar lauTun to shab bhar koi rasta dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.