aadmi ko dard ka sara ilaqa likh diya
aadmī ko dard kā saarā 'ilāqa likh diyā
haath meñ us ke qalam thā jo bhī chāhā likh diyā
nusrateñ chāho to apne aap se hijrat karo
kātib-e-qismat ne makke ko madīna likh diyā
but-kadoñ ko shoḳhiyāñ diiñ masjidoñ ko hausle
aur peshānī pe merī apnā sajda likh diyā
husn kī āñkhoñ meñ bhar diiñ vādiyāñ kashmīr kī
'ishq kī shorīdgī ke naam sahrā likh diyā
jab suḳhan kā zauq baḌhte baḌhte saudā ho gayā
ek saada ruḳh pe maiñ ne bhī qasīda likh diyā
'ishq kī tashrīh meñ donoñ jahāñ jab kho ga.e
maiñ ne apnā naam kaaTā aur us kā likh diyā
āḳhir-e-shab dil pe utrī dard kī sachchī kitāb
aur bayāz-e-sub.h par ashkoñ ne taiba likh diyā
sahrā sahrā pyaas ke dast-e-hunar ne ai 'ra.īs'
sūkhe hoñToñ kā tabassum dariyā dariyā likh diyā
aadmi ko dard ka sara 'ilaqa likh diya
hath mein us ke qalam tha jo bhi chaha likh diya
nusraten chaho to apne aap se hijrat karo
katib-e-qismat ne makke ko madina likh diya
but-kadon ko shoKHiyan din masjidon ko hausle
aur peshani pe meri apna sajda likh diya
husn ki aankhon mein bhar din wadiyan kashmir ki
'ishq ki shoridgi ke nam sahra likh diya
jab suKHan ka zauq baDhte baDhte sauda ho gaya
ek sada ruKH pe main ne bhi qasida likh diya
'ishq ki tashrih mein donon jahan jab kho gae
main ne apna nam kaTa aur us ka likh diya
aaKHir-e-shab dil pe utri dard ki sachchi kitab
aur bayaz-e-subh par ashkon ne taiba likh diya
sahra sahra pyas ke dast-e-hunar ne ai 'rais'
sukhe honTon ka tabassum dariya dariya likh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.