aadmi ko zauq-e-soz-e-dard-e-insan chahiye
aadmī ko zauq-e-soz-e-dard-e-insāñ chāhiye
dard hī jis kī davā ho aisā armāñ chāhiye
ik na.e insān kā insāñ hai ab tak muntazir
jo sarāpā-dard-e-insāñ ho vo insāñ chāhiye
ai hakīm-e-nā-shanās-e-zauq-e-dard-e-dard-mand
dard-mandoñ ke liye mujh ko hī darmāñ chāhiye
dostoñ kā qatl aulā hai ba-jā.e dushmanāñ
dushmanoñ par bhī to kuchh andāz-e-ehsāñ chāhiye
bahr-e-ġham-ḳhvārī-e-insāñ umr shahroñ meñ kaTī
vus.at-e-ġham ko agarche thā bayābāñ chāhiye
dūsre kā aish bhī vaj.h-e-masarrat hai agar
muttasil apne gulistāñ ke gulistāñ chāhiye
gar hunar-mandī kā da.avā mushkilāt-e-fan se hai
mere azm-e-shauq ko ḳhār-e-muġhīlāñ chāhiye
jis ke zauq-e-zindagī se zindagī sab ko mile
mere zauq-e-sher ko aisā ġhazal-ḳhvāñ chāhiye
ek 'anvar' hī shahīd-e-dard-e-insāñ hai to kyā
nau-e-insāñ hī sharīk-e-dard-e-insāñ chāhiye
aadmi ko zauq-e-soz-e-dard-e-insan chahiye
dard hi jis ki dawa ho aisa arman chahiye
ek nae insan ka insan hai ab tak muntazir
jo sarapa-dard-e-insan ho wo insan chahiye
ai hakim-e-na-shanas-e-zauq-e-dard-e-dard-mand
dard-mandon ke liye mujh ko hi darman chahiye
doston ka qatl aula hai ba-jae dushmanan
dushmanon par bhi to kuchh andaz-e-ehsan chahiye
bahr-e-gham-KHwari-e-insan umr shahron mein kaTi
wusat-e-gham ko agarche tha bayaban chahiye
dusre ka aish bhi wajh-e-masarrat hai agar
muttasil apne gulistan ke gulistan chahiye
gar hunar-mandi ka dawa mushkilat-e-fan se hai
mere azm-e-shauq ko KHar-e-mughilan chahiye
jis ke zauq-e-zindagi se zindagi sab ko mile
mere zauq-e-sher ko aisa ghazal-KHwan chahiye
ek 'anwar' hi shahid-e-dard-e-insan hai to kya
nau-e-insan hi sharik-e-dard-e-insan chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.