aadmi pahle to lazim hai ki insan bane
aadmī pahle to lāzim hai ki insān bane
phir bhale hindū īsā.ī yā musalmān bane
siikh paayā nahīñ jo pyaar ke aksar Dhaa.ī
kyoñ raTe ved vo kyoñ hāfiz-e-qur.ān bane
dil kī daulat hai milī jis ko hai vo sab se amiir
sone chāñdī se na hargiz koī dhanvān bane
arsh pe hogī hukūmat tirī shāyad maulā
is zamīñ par to ka.ī aur haiñ bhagvān bane
ai 'sadā' un kī na taqlīd tū hargiz karnā
kar ke taqlīd jo haiñ sāhib-e-dīvān bane
aadmi pahle to lazim hai ki insan bane
phir bhale hindu isai ya musalman bane
sikh paya nahin jo pyar ke aksar Dhai
kyon raTe wed wo kyon hafiz-e-quran bane
dil ki daulat hai mili jis ko hai wo sab se amir
sone chandi se na hargiz koi dhanwan bane
arsh pe hogi hukumat teri shayad maula
is zamin par to kai aur hain bhagwan bane
ai 'sada' un ki na taqlid tu hargiz karna
kar ke taqlid jo hain sahib-e-diwan bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.