aadmi tha kya wahi ek kaam ka
aadmī thā kyā vahī ik kaam kā
arz par jis kā koī maskan na thā
jo kisī ne pairahan mujh ko diyā
vo mire hī tan kā hissa ban gayā
ham the juḌvāñ is liye tan ek thā
ek surgeon ne alag ham ko kiyā
jal meñ jab tak maiñ rahā zinda rahā
taT pe sāgar ke maiñ aa kar mar gayā
jab kabhī maiñ sochne kuchh lag paḌā
duur tak phir silsila chaltā rahā
maiñ zamīñ par ik tarah kā bojh thā
vo to maañ thī us ko ye sahnā paḌā
vajd meñ aatā kabhī to peḌ kī
Tahniyoñ par chaḌh ke aksar jhūltā
thā maiñ sālik ik anokhā dahr meñ
jo bhī maslak mil gayā maiñ chal paḌā
ālam-e-jabrūt kā sākin thā maiñ
ālam-e-siflī meñ kaise aa gayā
hādse ko roknā thā is liye
rāste par ho gayā jā kar khaḌā
band karte the kabhī the kholte
ruup darvāze kā mujh ko kyā milā
leT jaatā piiTh ke bal farsh par
dekh letā jab bhī aate meñ qazā
jo samāvī the qamar par jā base
maiñ thā ḳhākī dahr meñ hī rah gayā
mujh ko denā thā 'figār' un kā javāb
chiTThiyoñ kā sāmne ambār thā
aadmi tha kya wahi ek kaam ka
arz par jis ka koi maskan na tha
jo kisi ne pairahan mujh ko diya
wo mere hi tan ka hissa ban gaya
hum the juDwan is liye tan ek tha
ek surgeon ne alag hum ko kiya
jal mein jab tak main raha zinda raha
taT pe sagar ke main aa kar mar gaya
jab kabhi main sochne kuchh lag paDa
dur tak phir silsila chalta raha
main zamin par ek tarah ka bojh tha
wo to man thi us ko ye sahna paDa
wajd mein aata kabhi to peD ki
Tahniyon par chaDh ke aksar jhulta
tha main salik ek anokha dahr mein
jo bhi maslak mil gaya main chal paDa
aalam-e-jabrut ka sakin tha main
aalam-e-sifli mein kaise aa gaya
hadse ko rokna tha is liye
raste par ho gaya ja kar khaDa
band karte the kabhi the kholte
rup darwaze ka mujh ko kya mila
leT jata piTh ke bal farsh par
dekh leta jab bhi aate mein qaza
jo samawi the qamar par ja base
main tha KHaki dahr mein hi rah gaya
mujh ko dena tha 'figar' un ka jawab
chiTThiyon ka samne ambar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.