aae baalin pe mere isi-e-dauran ho kar
aa.e bālīñ pe mire īsī-e-daurāñ ho kar
kyuuñ magar baiTh ga.e sar-ba-garebāñ ho kar
raunaq-e-bazm to huuñ sūrat-e-parvāna magar
āzmā.eñ to mujhe sham-e-farozāñ ho kar
na to jiine kā maza hai na sakūñ marne meñ
zindagī rah ga.ī ik ḳhvāb-e-pareshāñ ho kar
ham-nafas pūchh to le hāl-e-nasheman bhī zarā
barq sayyād ke ghar aa.ī gulistāñ ho kar
na rahī tāb-e-nazar lutf-e-tamāshā mālūm
kyā kiyā aap ke jalvoñ ne pareshāñ ho kar
dard bhī tum ne diyā hai to davā bhī tum do
mere pahlū meñ raho dard kā darmāñ ho kar
be-bas itne hue kyuuñ ishq-e-butāñ meñ 'zākir'
kufr bakne lage ik mard-e-musalmāñ ho kar
aae baalin pe mere isi-e-dauran ho kar
kyun magar baiTh gae sar-ba-gareban ho kar
raunaq-e-bazm to hun surat-e-parwana magar
aazmaen to mujhe sham-e-farozan ho kar
na to jine ka maza hai na sakun marne mein
zindagi rah gai ek KHwab-e-pareshan ho kar
ham-nafas puchh to le haal-e-nasheman bhi zara
barq sayyaad ke ghar aai gulistan ho kar
na rahi tab-e-nazar lutf-e-tamasha malum
kya kiya aap ke jalwon ne pareshan ho kar
dard bhi tum ne diya hai to dawa bhi tum do
mere pahlu mein raho dard ka darman ho kar
be-bas itne hue kyun ishq-e-butan mein 'zakir'
kufr bakne lage ek mard-e-musalman ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.