aae hain ghar mera sajaane dard
aa.e haiñ ghar mirā sajāne dard
kuchh na.e aur kuchh purāne dard
zikr-e-jānāñ ke baaġh se guzre
zaḳhm mahke hue suhāne dard
ḳhauf utnā ḳhushī kā thā ham ko
ban ga.e ziist ke bahāne dard
dard kuchh aur de ke lauTe haiñ
aa.e the ham se jo baTāne dard
kab koī chāñdnī meñ de āvāz
kab uThe dil meñ phir na jaane dard
aae hain ghar mera sajaane dard
kuchh nae aur kuchh purane dard
zikr-e-jaanan ke bagh se guzre
zaKHm mahke hue suhane dard
KHauf utna KHushi ka tha hum ko
ban gae zist ke bahane dard
dard kuchh aur de ke lauTe hain
aae the hum se jo baTane dard
kab koi chandni mein de aawaz
kab uThe dil mein phir na jaane dard
- Book : Soch Samajh (Pg. 26)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.