aae hain sarae mein to ghar jaenge kya hai
aa.e haiñ sarā.e meñ to ghar jā.eñge kyā hai
ham log kisī roz guzar jā.eñge kyā hai
ham pasta qadoñ ko to batā deñge bulandī
uḌne se agar apne ye par jā.eñge kyā hai
tum ne diye tohfe jo hameñ achchhe lage haiñ
ye zaḳhm-e-dil-e-zār to bhar jā.eñge kyā hai
phūTeñge kisī roz abhī bharne do in ko
ye to haiñ ghaḌe paap ke bhar jā.eñge kyā hai
aae hain sarae mein to ghar jaenge kya hai
hum log kisi roz guzar jaenge kya hai
hum pasta qadon ko to bata denge bulandi
uDne se agar apne ye par jaenge kya hai
tum ne diye tohfe jo hamein achchhe lage hain
ye zaKHm-e-dil-e-zar to bhar jaenge kya hai
phuTenge kisi roz abhi bharne do in ko
ye to hain ghaDe pap ke bhar jaenge kya hai
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 289)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.