aae jo mere dil ko to sabr-o-qarar kya
aa.e jo mere dil ko to sabr-o-qarār kyā
us be-vafā ke qaul kā hai e.atibār kyā
ik jām-e-zar-nigār kā kaif-o-ḳhumār kyā
mere nasīb meñ nahīñ parvardigār kyā
parvarda-e-ḳhizāñ huuñ gulistāñ se kyā ġharaz
bahlā sakegī dil mirā fasl-e-bahār kyā
hairat-zada haiñ dekh ke ahl-e-nazar unheñ
duniyā-e-ārzū meñ haiñ naqsh-o-nigār kyā
ġhunche bhī ḳhanda-zan haiñ guloñ par bhī hai nikhār
phir aa ga.ī chaman meñ urūs-e-bahār kyā
bahr-e-jahāñ meñ ziist hai kyā ik habāb hai
is umr-e-be-sabāt kā hai e.atibār kyā
jis ko bhī dekhiye vahī matlab-parast hai
duniyā meñ ab nahīñ hai koī ġham-gusār kyā
ḳhāshāk-e-āshiyāñ meñ mire soz hai nihāñ
'paikāñ' jalā.eñge inheñ barq-o-sharār kyā
aae jo mere dil ko to sabr-o-qarar kya
us be-wafa ke qaul ka hai eatibar kya
ek jam-e-zar-nigar ka kaif-o-KHumar kya
mere nasib mein nahin parwardigar kya
parwarda-e-KHizan hun gulistan se kya gharaz
bahla sakegi dil mera fasl-e-bahaar kya
hairat-zada hain dekh ke ahl-e-nazar unhen
duniya-e-arzu mein hain naqsh-o-nigar kya
ghunche bhi KHanda-zan hain gulon par bhi hai nikhaar
phir aa gai chaman mein urus-e-bahaar kya
bahr-e-jahan mein zist hai kya ek habab hai
is umr-e-be-sabaat ka hai eatibar kya
jis ko bhi dekhiye wahi matlab-parast hai
duniya mein ab nahin hai koi gham-gusar kya
KHashak-e-ashiyan mein mere soz hai nihan
'paikan' jalaenge inhen barq-o-sharar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.