aae kuchh sabr kuchh qarar aae
aa.e kuchh sabr kuchh qarār aa.e
is tarah bhī kabhī bahār aa.e
jumbish-e-lab vahī hai tū bhī vahī
phir mujhe kyoñ na e.atibār aa.e
yā chaman ko chaman na kahne de
yā vahī bū-e-mushk-bār aa.e
sham-e-mahfil ko ye ḳhabar na huī
kis qadar us ke jāñ-nisār aa.e
maiñ pareshāñ sahī udaas sahī
tere chehre pe kyoñ ġhubār aa.e
jab kisī kā bhī intizār nahīñ
phir ḳhizāñ aa.e yā bahār aa.e
jab huā chaak chaak pairāhan
kaam dāman ke taar taar aa.e
aarzū hasrateñ tamannā.eñ
zindagī qaid meñ guzār aa.e
aaj kyā kah diyā kisī ne 'shamīm'
ashk āñkhoñ meñ baar baar aa.e
aae kuchh sabr kuchh qarar aae
is tarah bhi kabhi bahaar aae
jumbish-e-lab wahi hai tu bhi wahi
phir mujhe kyon na eatibar aae
ya chaman ko chaman na kahne de
ya wahi bu-e-mushk-bar aae
sham-e-mahfil ko ye KHabar na hui
kis qadar us ke jaan-nisar aae
main pareshan sahi udas sahi
tere chehre pe kyon ghubar aae
jab kisi ka bhi intizar nahin
phir KHizan aae ya bahaar aae
jab hua chaak chaak pairahan
kaam daman ke tar tar aae
aarzu hasraten tamannaen
zindagi qaid mein guzar aae
aaj kya kah diya kisi ne 'shamim'
ashk aankhon mein bar bar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.