aae kya aap ki panah mein hum
aa.e kyā aap kī panāh meñ ham
ghar meñ mahfūz haiñ na raah meñ ham
haañ vahī tumtarāq kā rishta
dekhte haiñ sar-o-kulāh meñ ham
aur bhī morid-e-savāb hue
mubtalā jab se haiñ gunāh meñ ham
mudda.ī the hazār ḳhūbī ke
par na aa.e kisī nigāh meñ ham
ilm se madrase meñ 'shaukat' duur
aur irfāñ se ḳhānqāh meñ ham
aae kya aap ki panah mein hum
ghar mein mahfuz hain na rah mein hum
han wahi tumtaraq ka rishta
dekhte hain sar-o-kulah mein hum
aur bhi morid-e-sawab hue
mubtala jab se hain gunah mein hum
muddai the hazar KHubi ke
par na aae kisi nigah mein hum
ilm se madrase mein 'shaukat' dur
aur irfan se KHanqah mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.