aae mashriq se shahsawar bahut
aa.e mashriq se shahsavār bahut
kis ko thā un kā intizār bahut
qāfiloñ kī koī ḳhabar sī nahīñ
duur uThtā rahā ġhubār bahut
sub.h hone tak us ne jaan na dī
umr bhar thā ḳhud-iḳhtiyār bahut
phir koī sāneha huā hogā
mehrbāñ kyuuñ haiñ ġham-gusār bahut
kyuuñ hai har zarra karbalā-manzar
hai hameñ un pe e'tibār bahut
ho ga.ī sab ke aage rusvā.ī
kis hunar par thā iftiḳhār bahut
aae mashriq se shahsawar bahut
kis ko tha un ka intizar bahut
qafilon ki koi KHabar si nahin
dur uThta raha ghubar bahut
subh hone tak us ne jaan na di
umr bhar tha KHud-iKHtiyar bahut
phir koi saneha hua hoga
mehrban kyun hain gham-gusar bahut
kyun hai har zarra karbala-manzar
hai hamein un pe e'tibar bahut
ho gai sab ke aage ruswai
kis hunar par tha iftiKHar bahut
- Book : Sar Sabz (Pg. 24)
- Author : Krishn Kumar Toor
- Publication : Aariz Offset Press 123 Shahzad Bagh Ind. Phase-II Delhi-35 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.