aae na lab pe harf-e-shikayat KHuda kare
aa.e na lab pe harf-e-shikāyat ḳhudā kare
phūle phale hamārī mohabbat ḳhudā kare
hai aarzū ki ho na mayassar shifā mujhe
aate raheñ vo bahr-e-ayādat ḳhudā kare
sab kuchh ye raunaqeñ haiñ unhī ke qudūm kī
har ik ko ho nasīb ziyārat ḳhudā kare
vo aa ga.e haiñ jazba-e-lutf-o-karam ke saath
ho jaa.e merā ḳhvāb haqīqat ḳhudā kare
saaqī ne aaj farq-e-marātib miTā diyā
jaage sharāb-ḳhāne kī qismat ḳhudā kare
ifrāt-e-māl-o-zar to hai 'qāsid' vabāl-e-jāñ
haath aa.e mujh ko hasb-e-zarūrat ḳhudā kare
aae na lab pe harf-e-shikayat KHuda kare
phule phale hamari mohabbat KHuda kare
hai aarzu ki ho na mayassar shifa mujhe
aate rahen wo bahr-e-ayaadat KHuda kare
sab kuchh ye raunaqen hain unhi ke qudum ki
har ek ko ho nasib ziyarat KHuda kare
wo aa gae hain jazba-e-lutf-o-karam ke sath
ho jae mera KHwab haqiqat KHuda kare
saqi ne aaj farq-e-maraatib miTa diya
jage sharab-KHane ki qismat KHuda kare
ifraat-e-mal-o-zar to hai 'qasid' wabaal-e-jaan
hath aae mujh ko hasb-e-zarurat KHuda kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.