aae the ghar mein aag lagane sharir log
aa.e the ghar meñ aag lagāne sharīr log
aur hañs rahe the duur khaḌe be-zamīr log
himmat kahāñ hai mujh meñ ki sach bol kar dikhā.ūñ
baiThe hue haiñ joḌe kamānoñ meñ tiir log
har aadmī ke lab pe hai ik dil-shikan savāl
āḳhir kahāñ chale ga.e vo dil-pazīr log
ik roz kah diyā thā haqīr inkisār meñ
ye baat sach samajh ga.e saare haqīr log
dast-e-talab darāz kareñ bhī to kyā kareñ
dekhe ga.e haiñ dast-nigar dast-gīr log
jo pūchhnā hai pūchh le aur chhoḌ rāsta
Tikte nahīñ kisī bhī jagah ham faqīr log
barpā kiyā gayā thā ġharībī miTāo jashn
shāmil the is meñ shahr ke saare amiir log
aae the ghar mein aag lagane sharir log
aur hans rahe the dur khaDe be-zamir log
himmat kahan hai mujh mein ki sach bol kar dikhaun
baiThe hue hain joDe kamanon mein tir log
har aadmi ke lab pe hai ek dil-shikan sawal
aaKHir kahan chale gae wo dil-pazir log
ek roz kah diya tha haqir inkisar mein
ye baat sach samajh gae sare haqir log
dast-e-talab daraaz karen bhi to kya karen
dekhe gae hain dast-nigar dast-gir log
jo puchhna hai puchh le aur chhoD rasta
Tikte nahin kisi bhi jagah hum faqir log
barpa kiya gaya tha gharibi miTao jashn
shamil the is mein shahr ke sare amir log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.