aae the pardes mein do chaar barson ke liye
aa.e the pardes meñ do chaar barsoñ ke liye
ro rahe haiñ baiTh kar ā.inda nasloñ ke liye
ġhair-mulkī haiñ yahāñ par ham-vatan maiñ ajnabī
bech dī pahchān apnī ham ne paisoñ ke liye
kar diyā mazdūriyoñ ne būḌhā ham ko is tarah
bin paroñ ke jaise panchhī hoñ uḌānoñ ke liye
kuchh pe kachrā ghar bane haiñ kuchh pe qabza ho gayā
chhoḌ aa.e the zamīñ jo ham makānoñ ke liye
ham ġharibān-e-vatan kī qatl gāheñ ban ga.iiñ
bastiyāñ mash.hūr thiiñ jo ḳhush-jamāloñ ke liye
karte haiñ ham zikr rab kā hoñT apne bhīñch kar
kholte haiñ ab zabāñ dhīmī azānoñ ke liye
ek purkhoñ kā 'zafar' hai dūsrā bachchoñ kā hai
des koī bhī nahīñ hai mere jaisoñ ke liye
aae the pardes mein do chaar barson ke liye
ro rahe hain baiTh kar aainda naslon ke liye
ghair-mulki hain yahan par ham-watan main ajnabi
bech di pahchan apni hum ne paison ke liye
kar diya mazduriyon ne buDha hum ko is tarah
bin paron ke jaise panchhi hon uDanon ke liye
kuchh pe kachra ghar bane hain kuchh pe qabza ho gaya
chhoD aae the zamin jo hum makanon ke liye
hum ghariban-e-watan ki qatl gahen ban gain
bastiyan mashhur thin jo KHush-jamalon ke liye
karte hain hum zikr rab ka honT apne bhinch kar
kholte hain ab zaban dhimi azanon ke liye
ek purkhon ka 'zafar' hai dusra bachchon ka hai
des koi bhi nahin hai mere jaison ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.