aa.e tire qarīb magar duur ho ga.e
ham dil ke hāthoñ kis liye majbūr ho ga.e
dastūr kyā ajiib thā patthar ke shahr kā
ā.īne hasratoñ ke sabhī chuur ho ga.e
samjhegā kaun ahl-e-junūñ ke muāmlāt
rusvā hue to aur bhī mash.hūr ho ga.e
yuuñ phal lage ki shāḳh-e-samar-bār jhuk ga.ī
phūloñ bhare daraḳht bhī maġhrūr ho ga.e
chāragaroñ ke paas nahīñ thā ilāj-e-ġham
siine meñ jitne zaḳhm the nāsūr ho ga.e
duniyā ko zer karne kā fan jānte na the
jo apnī ḳhvāhishāt se majbūr ho ga.e
samjhegā 'raaj apnī tabī.at ko koī kyā
hañste hue ham aur bhī ranjūr ho ga.e
aae tere qarib magar dur ho gae
hum dil ke hathon kis liye majbur ho gae
dastur kya ajib tha patthar ke shahr ka
aaine hasraton ke sabhi chur ho gae
samjhega kaun ahl-e-junun ke muamlat
ruswa hue to aur bhi mashhur ho gae
yun phal lage ki shaKH-e-samar-bar jhuk gai
phulon bhare daraKHt bhi maghrur ho gae
chaaragaron ke pas nahin tha ilaj-e-gham
sine mein jitne zaKHm the nasur ho gae
duniya ko zer karne ka fan jaante na the
jo apni KHwahishat se majbur ho gae
samjhega 'raj apni tabiat ko koi kya
hanste hue hum aur bhi ranjur ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.