aaenge wo kabhi magar zist ka eatibar kya
ā.eñge vo kabhī magar ziist kā e.atibār kyā
lā.egā rang dekhiye ālam-e-intizār kyā
apnī ḳhushī na aa.e haiñ apnī ḳhushī na jā.eñge
un ke harīm-e-nāz meñ ham ko hai iḳhtiyār kyā
qaid-e-qafas meñ ham-nafas guzrī ho jis kī zindagī
us ko ḳhizāñ kī kyā ḳhabar jānegā vo bahār kyā
hai ye hayāt-e-jāvedāñ hai yahī aish-e-sarmadī
haiñ jo vafā meñ lazzateñ jaane sitam-shi.ār kyā
bāzī-e-ishq haar kar baiThe haiñ be-ḳhabar se ham
suud hai kyā ziyāñ hai kyā naqd hai kyā udhār kyā
kashmakash-e-hayāt hai raunaq-e-mahfil-e-hayāt
dil ko hamāre jiite jī aa.egā phir qarār kyā
mausam-e-gul ke aate hī ham to asiir ho ga.e
qaid-e-qafas hai ai 'nazīr' hāsil-e-nau-bahār kyā
aaenge wo kabhi magar zist ka eatibar kya
laega rang dekhiye aalam-e-intizar kya
apni KHushi na aae hain apni KHushi na jaenge
un ke harim-e-naz mein hum ko hai iKHtiyar kya
qaid-e-qafas mein ham-nafas guzri ho jis ki zindagi
us ko KHizan ki kya KHabar jaanega wo bahaar kya
hai ye hayat-e-jawedan hai yahi aish-e-sarmadi
hain jo wafa mein lazzaten jaane sitam-shiar kya
bazi-e-ishq haar kar baiThe hain be-KHabar se hum
sud hai kya ziyan hai kya naqd hai kya udhaar kya
kashmakash-e-hayat hai raunaq-e-mahfil-e-hayat
dil ko hamare jite ji aaega phir qarar kya
mausam-e-gul ke aate hi hum to asir ho gae
qaid-e-qafas hai ai 'nazir' hasil-e-nau-bahaar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.