aafat ne jis ko ghera hoga
āfāt ne jis ko gherā hogā
rishta koī us kā merā hogā
mehmān haiñ us sarā.e ke ham
do-chār ghaḌī baserā hogā
jānūñ huuñ maiñ jaisā kuchh hai 'ālam
kis kā ye huā ki merā hogā
mil lo ki na mil sakeñge phir ham
ye jaan lo phir na pherā hogā
andar hī jalegī sham’-e-raushan
bāhar to faqat añdherā hogā
rote hī kaTegī shām-e-hijrāñ
uTh jā.eñge jab saverā hogā
ham aisoñ pe 'ashk' avval avval
taqdīr ne dukh bikherā hogā
aafat ne jis ko ghera hoga
rishta koi us ka mera hoga
mehman hain us sarae ke hum
do-chaar ghaDi basera hoga
jaanun hun main jaisa kuchh hai 'alam
kis ka ye hua ki mera hoga
mil lo ki na mil sakenge phir hum
ye jaan lo phir na phera hoga
andar hi jalegi sham’-e-raushan
bahar to faqat andhera hoga
rote hi kaTegi sham-e-hijran
uTh jaenge jab sawera hoga
hum aison pe 'ashk' awwal awwal
taqdir ne dukh bikhera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.