aafat-e-jaan us pari se dil lagana ho gaya
aafat-e-jaan us pari se dil lagana ho gaya
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
āfat-e-jāñ us parī se dil lagānā ho gayā
us ko kyā chāhā ki ik dushman zamāna ho gayā
paañv vo kab aate the ab paañv meñ mehñdī lagī
ye to ab un ke liye ḳhāsā bahānā ho gayā
dekh leñge us ke darbāñ ko bhī ab to kyā kaheñ
gar kisī taqrīb us kūche meñ jaanā ho gayā
dil ko paayā ham ne siine meñ taḌapte loTte
gosh-zad jab apne sher-e-āshiqāna ho gayā
kyā karegā ḳhuld ko le kar vo batlā to sahī
kūcha-e-saffāk meñ jis kā Thikānā ho gayā
ḳhirman-e-tāb-o-tavāñ ke vāste ai ham-nashīñ
ġhairat-e-sad-barq us kā muskurānā ho gayā
koh-e-ġham tere marīz-e-hijr ne sar par dharā
nā-tavāñ terā yahāñ tak to tavānā ho gayā
yaad meñ us zulf-e-mushkīñ kī shab-e-furqat meñ 'aish'
jo girā aañsū kā qatra sañg-dānā ho gayā
aafat-e-jaan us pari se dil lagana ho gaya
us ko kya chaha ki ek dushman zamana ho gaya
panw wo kab aate the ab panw mein mehndi lagi
ye to ab un ke liye KHasa bahana ho gaya
dekh lenge us ke darban ko bhi ab to kya kahen
gar kisi taqrib us kuche mein jaana ho gaya
dil ko paya hum ne sine mein taDapte loTte
gosh-zad jab apne sher-e-ashiqana ho gaya
kya karega KHuld ko le kar wo batla to sahi
kucha-e-saffak mein jis ka Thikana ho gaya
KHirman-e-tab-o-tawan ke waste ai ham-nashin
ghairat-e-sad-barq us ka muskurana ho gaya
koh-e-gham tere mariz-e-hijr ne sar par dhara
na-tawan tera yahan tak to tawana ho gaya
yaad mein us zulf-e-mushkin ki shab-e-furqat mein 'aish'
jo gira aansu ka qatra sang-dana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.