aafat shab-e-tanhā.ī kī Tal jaa.e to achchhā
ghabrā ke jo dam aaj nikal jaa.e to achchhā
o jān-e-hazīñ jaanā hai ik din tujhe āḳhir
ab jaa.e to behtar hai ki kal jaa.e to achchhā
jhukvā diyā sar zo.af ne qātil ke qadam par
talvār agar us kī ugal jaa.e to achchhā
behtar nahīñ hai sūrat-e-jānāñ kā tasavvur
dil aur kisī shai se bahal jaa.e to achchhā
ik sil hai kaleje pe nahīñ ruuh badan meñ
chhātī kā pahāḌ aah pe Tal jaa.e to achchhā
dīvāna abas shahr kī galiyoñ meñ hai barbād
majnūñ kisī jañgal ko nikal jaa.e to achchhā
o ātish-e-dil phūñk de tan ashk bahā de
bah jaa.e to behtar hai ye jal jaa.e to achchhā
har martaba Dasne ke irāde meñ hai vo zulf
azhdar ye agar mujh ko nigal jaa.e to achchhā
phir ruknā hai dushvār ye jab aa.ī to aa.ī
aise meñ tabī.at jo sambhal jaa.e to achchhā
tābūt mirā tham ke uThāo mire yaaro
vo bhī kaf-e-afsos jo mal jaa.e to achchhā
ai 'rind' milo yaar se yā haath uThāo
jhagḌā chuke har shab kā ḳhalal jaa.e to achchhā
aafat shab-e-tanhai ki Tal jae to achchha
ghabra ke jo dam aaj nikal jae to achchha
o jaan-e-hazin jaana hai ek din tujhe aaKHir
ab jae to behtar hai ki kal jae to achchha
jhukwa diya sar zoaf ne qatil ke qadam par
talwar agar us ki ugal jae to achchha
behtar nahin hai surat-e-jaanan ka tasawwur
dil aur kisi shai se bahal jae to achchha
ek sil hai kaleje pe nahin ruh badan mein
chhati ka pahaD aah pe Tal jae to achchha
diwana abas shahr ki galiyon mein hai barbaad
majnun kisi jangal ko nikal jae to achchha
o aatish-e-dil phunk de tan ashk baha de
bah jae to behtar hai ye jal jae to achchha
har martaba Dasne ke irade mein hai wo zulf
azhdar ye agar mujh ko nigal jae to achchha
phir rukna hai dushwar ye jab aai to aai
aise mein tabiat jo sambhal jae to achchha
tabut mera tham ke uThao mere yaro
wo bhi kaf-e-afsos jo mal jae to achchha
ai 'rind' milo yar se ya hath uThao
jhagDa chuke har shab ka KHalal jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.