aag bahte hue pani mein lagane aai
aag bahte hue paanī meñ lagāne aa.ī
tere ḳhat aaj maiñ dariyā meñ bahāne aa.ī
phir tirī yaad na.e ḳhvāb dikhāne aa.ī
chāñdnī jhiil ke paanī meñ nahāne aa.ī
din sahelī kī tarah saath rahā āñgan meñ
raat dushman kī tarah jaan jalāne aa.ī
maiñ ne bhī dekh liyā aaj use ġhair ke saath
ab kahīñ jā ke mirī aql Thikāne aa.ī
zindagī to kisī rahzan kī tarah thī 'anjum'
maut rahbar kī tarah raah dikhāne aa.ī
aag bahte hue pani mein lagane aai
tere KHat aaj main dariya mein bahane aai
phir teri yaad nae KHwab dikhane aai
chandni jhil ke pani mein nahane aai
din saheli ki tarah sath raha aangan mein
raat dushman ki tarah jaan jalane aai
main ne bhi dekh liya aaj use ghair ke sath
ab kahin ja ke meri aql Thikane aai
zindagi to kisi rahzan ki tarah thi 'anjum'
maut rahbar ki tarah rah dikhane aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.