aag barasti lagti hai diwaron se
aag barastī lagtī hai dīvāroñ se
'sā.ib' kyā likh aa.e ho añgāroñ se
qatl ke ba.ad mujhe saa.e meñ Daal aate
itnī to ummīd thī mujh ko yāroñ se
merā dukh-sukh bāñTne to aa jaate haiñ
ham-sā.e achchhe haiñ rishte-dāroñ se
dekh lo apnā sar rakkhā hai nezoñ par
fāsla ham ne rakkhā hai dastāroñ se
āḳhir kab tak qatl kī ḳhabreñ paḌhnī haiñ
ab to vahshat hotī hai aḳhbāroñ se
aag barasti lagti hai diwaron se
'saib' kya likh aae ho angaron se
qatl ke baad mujhe sae mein Dal aate
itni to ummid thi mujh ko yaron se
mera dukh-sukh banTne to aa jate hain
ham-sae achchhe hain rishte-daron se
dekh lo apna sar rakkha hai nezon par
fasla hum ne rakkha hai dastaron se
aaKHir kab tak qatl ki KHabren paDhni hain
ab to wahshat hoti hai aKHbaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.