aag bhi dil mein lagi hai aur ashk-e-gham bhi hai
aag bhi dil mein lagi hai aur ashk-e-gham bhi hai
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
aag bhī dil meñ lagī hai aur ashk-e-ġham bhī hai
ishq kahte haiñ jise sho.ala bhī hai shabnam bhī hai
vaqt-e-āḳhir chārāgar jitnī ḳhushī hai ġham bhī hai
yaar kī sūrat bhī hai āñkhoñ meñ merā dam bhī hai
bā.is-e-taklīf bhī hai bā.is-e-ārām bhī
yād-e-jānāñ zaḳhm bhī hai zaḳhm kā marham bhī hai
phir ḳhatā jannat meñ hogī bāvajūd-e-ehtiyāt
sirf aadat hī nahīñ ye fitrat-e-ādam bhī hai
sab ke aañsū poñchhne vaale idhar bhī dekh le
āb-dīda terī mahfil meñ tirā 'purnam' bhī hai
aag bhi dil mein lagi hai aur ashk-e-gham bhi hai
ishq kahte hain jise shoala bhi hai shabnam bhi hai
waqt-e-aKHir chaaragar jitni KHushi hai gham bhi hai
yar ki surat bhi hai aankhon mein mera dam bhi hai
bais-e-taklif bhi hai bais-e-aram bhi
yaad-e-jaanan zaKHm bhi hai zaKHm ka marham bhi hai
phir KHata jannat mein hogi bawajud-e-ehtiyat
sirf aadat hi nahin ye fitrat-e-adam bhi hai
sab ke aansu ponchhne wale idhar bhi dekh le
aab-dida teri mahfil mein tera 'purnam' bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.