aag hai KHub thoDa pani hai
aag hai ḳhuub thoḌā paanī hai
ye yahāñ roz kī kahānī hai
ḳhud se karnā hai qatl ḳhud ko hī
aur ḳhud laash bhī uThānī hai
pī ga.e ret tishnagī meñ log
shor uTThā thā yaañ pe paanī hai
ye hī kahne meñ kaT ga.e do din
chaar hī din kī zindagānī hai
saare kirdār mar ga.e lekin
rau meñ ab bhī mirī kahānī hai
aag hai KHub thoDa pani hai
ye yahan roz ki kahani hai
KHud se karna hai qatl KHud ko hi
aur KHud lash bhi uThani hai
pi gae ret tishnagi mein log
shor uTTha tha yan pe pani hai
ye hi kahne mein kaT gae do din
chaar hi din ki zindagani hai
sare kirdar mar gae lekin
rau mein ab bhi meri kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.