aag hi aag aasman laga
aag hī aag āsmān lagā
dhuup kī tarah sā.ebān lagā
qahqahe ug rahe the shāḳhoñ par
baaġh jaisā vo ḳhāndān lagā
kitnī ūñchī haiñ us kī mehrābeñ
vo bhī maazī kā ik makān lagā
kitnī qistoñ meñ ab paḌhūñ us ko
vo mujhe ek dāstān lagā
tark kar lūñgā us se har rishta
vo agar mujh ko imtihān lagā
aag hi aag aasman laga
dhup ki tarah saeban laga
qahqahe ug rahe the shaKHon par
bagh jaisa wo KHandan laga
kitni unchi hain us ki mehraben
wo bhi mazi ka ek makan laga
kitni qiston mein ab paDhun us ko
wo mujhe ek dastan laga
tark kar lunga us se har rishta
wo agar mujh ko imtihan laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.