aag hote hain kabhi log dhuan hote hain
aag hote haiñ kabhī log dhuāñ hote haiñ
ek jaise to miyāñ ham bhī kahāñ hote haiñ
koī tahlīl bhī kar degā nahīñ sochā thā
soch aatī hī nahīñ thī ki ziyāñ hote haiñ
maiñ gavāhī meñ tumheñ ḳhvāb sunā.ūñ apnā
bhed mujh par to ḳhudā ke bhī 'ayāñ hote haiñ
jin kī āvāz qadam tez kiye detī hai
hote haiñ pyaar meñ kuchh log azaañ hote haiñ
ḳhvāhisheñ vaqt kī Tahnī se nahīñ jhaḌtī haiñ
ḳhvāb pachpan meñ bhī dekhe haiñ javāñ hote haiñ
zindagī rail kī paTrī pe le jaane vaale
pyaar ko pyaar samajh sūd-o-ziyāñ hote haiñ
maiñ ne ik 'umr usī shaḳhs ko DhūñDā 'sāhib'
vo jo kahtā thā ki zaḳhmoñ ke nishāñ hote haiñ
aag hote hain kabhi log dhuan hote hain
ek jaise to miyan hum bhi kahan hote hain
koi tahlil bhi kar dega nahin socha tha
soch aati hi nahin thi ki ziyan hote hain
main gawahi mein tumhein KHwab sunaun apna
bhed mujh par to KHuda ke bhi 'ayan hote hain
jin ki aawaz qadam tez kiye deti hai
hote hain pyar mein kuchh log azan hote hain
KHwahishen waqt ki Tahni se nahin jhaDti hain
KHwab pachpan mein bhi dekhe hain jawan hote hain
zindagi rail ki paTri pe le jaane wale
pyar ko pyar samajh sud-o-ziyan hote hain
main ne ek 'umr usi shaKHs ko DhunDa 'sahib'
wo jo kahta tha ki zaKHmon ke nishan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.