aag jaane na ye hawa jaane
aag jaane na ye havā jaane
kaun aayā hai un ko bhaḌkāne
dīmakeñ lag rahīñ haiñ zehnoñ ko
band hone lage kutub-ḳhāne
kaash sab ġhaur se mujhe dekheñ
kaash koī mujhe na pahchāne
DhūñDne se ḳhudā to miltā hai
kis ko miltā hai ye ḳhudā jaane
kyuuñ mirī haañ meñ haañ milāte ho
tum to aa.e the mujh ko samjhāne
aag jaane na ye hawa jaane
kaun aaya hai un ko bhaDkane
dimaken lag rahin hain zehnon ko
band hone lage kutub-KHane
kash sab ghaur se mujhe dekhen
kash koi mujhe na pahchane
DhunDne se KHuda to milta hai
kis ko milta hai ye KHuda jaane
kyun meri han mein han milate ho
tum to aae the mujh ko samjhane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.