aag jalne ka sabab malum hai
aag jalne kā sabab mā'lūm hai
kyā hameñ pahle se sab mā'lūm hai
phuul chunne us ko mat bhejo jise
marne vaale kī tarab mā'lūm hai
budhha jaise log bhī maare ga.e
maut ko sab kī talab mā'lūm hai
jab mashīneñ saath na deñgī kabhī
kyā kareñge log tab mā'lūm hai
is liye rotā nahī maiñ maut par
mujh ko thoḌā sā adab mā'lūm hai
aag jalne ka sabab ma'lum hai
kya hamein pahle se sab ma'lum hai
phul chunne us ko mat bhejo jise
marne wale ki tarab ma'lum hai
budhha jaise log bhi mare gae
maut ko sab ki talab ma'lum hai
jab mashinen sath na dengi kabhi
kya karenge log tab ma'lum hai
is liye rota nahi main maut par
mujh ko thoDa sa adab ma'lum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.