aag jalti hai Khaar-o-KHas se pare
aag jaltī hai ḳhār-o-ḳhas se pare
koī baiThā hai dastaras se pare
kaash aisā kabhī to mumkin ho
us ko le jaa.eñ pesh-o-pas se pare
qaid aisī hai kuchh nahīñ khultā
ham qafas meñ haiñ yā qafas se pare
'umr meñ kis tarah shumār kareñ
vaqt guzrā jo ham-nafas se pare
uljhaneñ dil kī ho ga.iiñ mā'dūm
jā ke dekhā jo dād-ras se pare
us kī qurbat meñ rah ke ‘badr-munīr'
'ishq rahtā hai har havas se pare
aag jalti hai KHar-o-KHas se pare
koi baiTha hai dastaras se pare
kash aisa kabhi to mumkin ho
us ko le jaen pesh-o-pas se pare
qaid aisi hai kuchh nahin khulta
hum qafas mein hain ya qafas se pare
'umr mein kis tarah shumar karen
waqt guzra jo ham-nafas se pare
uljhanen dil ki ho gain ma'dum
ja ke dekha jo dad-ras se pare
us ki qurbat mein rah ke ‘badr-munir'
'ishq rahta hai har hawas se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.