aag ke safhe pe naqsh-e-ma-o-man rah jaega
aag ke safhe pe naqsh-e-mā-o-man rah jā.egā
raakh meñ sachchā.ī kā zinda badan rah jā.egā
harf kī bārish thame to dhund se ma.anī ugeñ
likhne vaalā aap se guzregā fan rah jā.egā
ḳhvāhishoñ kā meñh nangī aañkh se jab bah chukā
chīḳhtā chinghāḌtā pīchhe badan rah jā.egā
yuuñ ḳhalā-bāzoñ pe barseñge shahāb-e-sāqib ab
jism jal jā.eñge baaqī pairahan rah jā.egā
janD par phir se kisī ghabrū kā tarkash rah gayā
hashr kā maidān ban ke ab ye ban rah jā.egā
aag kī dīvār phāñd aa.e to har manzil hai sahl
sar kī manzil se kahīñ pīchhe kafan rah jā.egā
aag ke safhe pe naqsh-e-ma-o-man rah jaega
rakh mein sachchai ka zinda badan rah jaega
harf ki barish thame to dhund se mani ugen
likhne wala aap se guzrega fan rah jaega
KHwahishon ka meinh nangi aankh se jab bah chuka
chiKHta chinghaDta pichhe badan rah jaega
yun KHala-bazon pe barsenge shahab-e-saqib ab
jism jal jaenge baqi pairahan rah jaega
janD par phir se kisi ghabru ka tarkash rah gaya
hashr ka maidan ban ke ab ye ban rah jaega
aag ki diwar phand aae to har manzil hai sahl
sar ki manzil se kahin pichhe kafan rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.