aag nafrat ki bujhane ke liye kafi hun
aag nafrat kī bujhāne ke liye kaafī huuñ
maiñ tujhe pyaar sikhāne ke liye kaafī huuñ
ek qatra huuñ maiñ dariyā to nahīñ huuñ lekin
maiñ tirī pyaas bujhāne ke liye kaafī huuñ
maiñ huuñ kamzor magar itnā bhī kamzor nahīñ
maiñ tirā shahr jalāne ke liye kaafī huuñ
terī izzat kī agar baat hai to phir maiñ hī
tujh ko siine se lagāne ke liye kaafī huuñ
maiñ akelā huuñ magar tujh se mohabbat hai mujhe
terī ḳhātir maiñ zamāne ke liye kaafī huuñ
aag nafrat ki bujhane ke liye kafi hun
main tujhe pyar sikhane ke liye kafi hun
ek qatra hun main dariya to nahin hun lekin
main teri pyas bujhane ke liye kafi hun
main hun kamzor magar itna bhi kamzor nahin
main tera shahr jalane ke liye kafi hun
teri izzat ki agar baat hai to phir main hi
tujh ko sine se lagane ke liye kafi hun
main akela hun magar tujh se mohabbat hai mujhe
teri KHatir main zamane ke liye kafi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.